Sunday, August 12, 2012

Kuch Panktiyan

Ma ke aanchal se bandha mera bachpan aur gud ka ek meetha sa dhela.. Ma kaam karti to kabhi mujhse kuch kehti, main rota to mujhe sehlati, dularti, aur mere mooh me rakh deti woh gud ka ek meetha sa dhela.. Sham ho jaati, chalte chalte, woh thaki haari, phir bhi muskaati uthake le chalti mujhe kandhon par Main ek aur dhele ki lalach me siskiyan bharta, rota, bilakhta, Ma sab jaanti, mujhe samajhti aur choom ke rakhdeti mere mooh me Ek aur meetha sa dhela gud ka.. Phir main bada bandh gaya duniyadari mein aur ma thaki na uth paati chatai se ma ke sirhane ek katore mein, rakh aata main gud ka meetha sa ek dhela.. Ma muskaati roz utha leti kandhon par jab woh na chal saki raahon par main muska na paya use uthakar aur rakh diya ek akhri baar sisakte, Ek meetha sa dhela gud ka..

No comments: