Sunday, August 12, 2012
Kuch Panktiyan
Ma ke aanchal se bandha
mera bachpan aur
gud ka ek meetha sa dhela..
Ma kaam karti to kabhi
mujhse kuch kehti, main rota
to mujhe sehlati, dularti,
aur mere mooh me rakh deti
woh gud ka ek meetha sa dhela..
Sham ho jaati, chalte chalte,
woh thaki haari, phir bhi muskaati
uthake le chalti mujhe kandhon par
Main ek aur dhele ki lalach me
siskiyan bharta, rota, bilakhta,
Ma sab jaanti, mujhe samajhti aur
choom ke rakhdeti mere mooh me
Ek aur meetha sa dhela gud ka..
Phir main bada bandh gaya duniyadari mein
aur ma thaki na uth paati chatai se
ma ke sirhane ek katore mein, rakh aata
main gud ka meetha sa ek dhela..
Ma muskaati roz utha leti kandhon par
jab woh na chal saki raahon par
main muska na paya use uthakar
aur rakh diya ek akhri baar sisakte,
Ek meetha sa dhela gud ka..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment